Pages

Passion

Passion

Monday, October 3, 2011

Kuch Sawal Jo Aaye The

Aaj din khud ko kamzor mehsus kiya, Laga kuch hai jo khaali hai, bharne ki chahat mein, par kyun?


Kya yeh jagah khaali hai?
Kya koi humaare paas nahi?
Kya humko ye ehsaas nahi?
Kya hai sach yehi?


Kyun aisi koi talash nahi?
Kyun aisi koi pyaas nahi?


Kyun dil machalne se darta hai?
Kyun phir pighalne se darta hai?


Kyun paas ho kar bhi paas nahi?
Kyun saath ho kar bhi ek aas nahi?


Kyun har nagma suroori hai?
Kyun milna bhi zaroori hai?


Kyun sambhalna seekha tha?
Kyun meethe mein bhi kuch feeka tha?


Kyun mehfil mein sannata hai?
Kyun husn chor kar jata hai?


Kya teeri peer nahi samjhi?
Kya dard mera sarmaya hai?
Kyun har sune pal mein
Yaad tu hi bas aaya hai?


~ Lutarai

No comments:

Post a Comment

The author shall be happy to receive your valuable feedback on subject and literary skills.